Jalna bhujna bhuj ke jalna
Marna jeena mar ke jeena
Mangne wali cheez nahi yeh
Mauka uska jisne chheena
Girna uthna uth ke chalna
Chadh ja ambar zeena zeena
Yaad rehe yeh shart safar ki
Peechhe mud ke dekh kabhi na
Jeet ka junoon hai to
Haar sochna kyun
Jab zindagi hai ek hi
Do baar sochna kyun
Main parinda kyun banun
Mujhe aasmaan ban-na hai
Main ik panna kyun rahun
Mujhe dastaan ban-na hai
Main parinda kyun banun
Mujhe aasmaan ban-na hai
Koyi to wajah hai
Jo zid pe adi hai yeh dhadkanein
Yehi to wajah hai
Kiya jo kisi ne nahi hum karein
Talwar hath mein tere
De maar sochna kyun
Jab zindagi hai ek hi
Do baar sochna kyun
Main parinda kyun banun
Mujhe aasmaan ban-na hai
Main ik panna kyun rahun
Mujhe dastaan ban-na hai